Posts

My creation_2013/07/18

Cahha tha tujhko apni zindagi se bhi jyada, Apna maana tha tujhko kisi apne se bhi jyada. Diya tha tujhko apna har ek lamha khud se bhi jyada, Yaaken tha tujhpe khud ki parchaai se bhi jyada. Todd diya tune har ek kasmein aur waadein, Socha nahi kabhi naam hongi meri bhi palkein. Tujhko dua dun ya bad-dua samajh nahi aata, Tere siwa is dil ko koi aur aaj bhi nahi bhaata. Zindagi aaj phir se usi mukaam pe chhod gayi hai, Jahan pe apni bigdi kismat aksar tanha kar jaati hai. Jal raha hun aaj bhi un lamhon me jo sang tere the kaate, Kaash is ambar me hum bhi chupke se kahin gumm ho jaate.

My creation_12

Image
Intezaar   Dard-e-dil hum na bola karte hai, Ishq kya cheez hai hum socha nahi karte hai, Waqt se paaye hai kuch zakham aise, Dushman nahi dost ki dosti khoyi ho jaise.   Jaana hai maine to bas itna, Karna maat pyaar kisi se dewanoon jitna, Hogi nahi tumhari dewaangi ki koi kadar, Kyunki wo bhi hogi kisi aur pe apna dil haar kar.   Nasseb waalon ko kismat se pyaar milta hai, Hum jaison ko to bas intezaar karna aata hai, Hogi nahi mumkin phir bhi dil hai bekaraar, Shayad kabhi samajh jaye wo bhi  is dil k andar ka pyaar.

My creation_11

Jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai Hai bas mere pass yeh tanhai yeh rusvai, Saathi to hai mera khud ki hi kaali parchhai. Koi nahi nivhata pal do pal se jyaada ka saath, Chhutt jaata hai anjaane me kitno se mera haath. Akele me kahin yeh dil chupke se rota hai, Phir bhi jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai. Pata nahi hui humse kya aisi bhi khata, Aaj bhi dhhondta hai yeh dil har pal usi ka pata. Mausam k tarah yahan log jaane kyun badal jaate hai, Humein to bas unke yaadon k saang chhod jaate hai. Mumkin nahi uska koi saath yeh mujhko pata hai, Phir bhi jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai.

My creation_10

Jab jab- tab tab Jab raat ka saan-naata chhata hai, Tab aawarapan bhi aacha lagta hai. Jab amawaas ka kaala andhera chhata hai, Tab sagar ki gehhrai me doob jaane ko maan karta hai. Jab tutte kaanch ki tarah khud ko bikhra paata hun, Tab bhari mehfil me bhi khud ko kahin tanha paata hun. Jab na cahhte hue bhi dil ko kisi ki yaad aati hai, Tab is bigdi kismat ke kode panne khul jaate hai. Jab dhhundta hun chand lamhe khusiyon ke, Tab achanak aansu bhar jaate hai in aankhon me. Jab durr kahin khud to akele chhod aata hun, Tab us san-naate me khud ko kahin khoya paata hun....

My creation_9

Kaash wo bachpaan k din ...!!!!! Kaisi hai mere andar yeh anokhi bechaini, Raas nahi aati mujhko ab meri yeh zindagaani. Pal pal har lamha hoti hai ek ajeeb si ghhutan, Phir bhi samajh nahi aati kya hai is dil ki peeran. Jee karta hai sagar ki gehraaion me kahin dubb jaaun, Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun. Waqt bhi ab kaate se katt-te nahi, Haansi bhi jaane kyun khusiyon me nikalti nahi. Rehta hai har ghhadi to ab bas maut ka intezaar, Jeena bhi lagta hai humko har pal dushvaar. Kisi tarah dur in sab se main kahin aur chala jaaun, Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun ....

My creations_8

Jab jab is dil ne kisi ko khub cahh-ha, Tab tab in aankhon ne khub roya. Hamesha the gehre kuch jasbaat is dil k andar, Par kabhi unhe laa nahi paaya apne laabon par. Basi to thi wo rom rom me mere, Par taqdeer me shayad nahi thi wo mere. Sunana to khub cahh-ha is dil ki dhadkan use, Par kismat ne aaj juda kar diya usko mujhse.

My creations_7

Phir bhi kyun..!!!!! Sagar ki tarah behne ko dil karta hai, Hawa k tarah uddne ko maan karta hai, Baadalon ki tarah barasne ko jee karta hai, Phir bhi kyun chupke se kahin roone ka dil karta hai. Phholon k tarah khilne ka dil karta hai, Khushboo ki tarah mehakne ka maan karta hai, Paagalon ki tarah haansne ka jee karta hai, Phir bhi kyun chupke se kahin roone ka dil karta hai.