Posts

Showing posts from August, 2011

My creations_8

Jab jab is dil ne kisi ko khub cahh-ha, Tab tab in aankhon ne khub roya. Hamesha the gehre kuch jasbaat is dil k andar, Par kabhi unhe laa nahi paaya apne laabon par. Basi to thi wo rom rom me mere, Par taqdeer me shayad nahi thi wo mere. Sunana to khub cahh-ha is dil ki dhadkan use, Par kismat ne aaj juda kar diya usko mujhse.

My creations_7

Phir bhi kyun..!!!!! Sagar ki tarah behne ko dil karta hai, Hawa k tarah uddne ko maan karta hai, Baadalon ki tarah barasne ko jee karta hai, Phir bhi kyun chupke se kahin roone ka dil karta hai. Phholon k tarah khilne ka dil karta hai, Khushboo ki tarah mehakne ka maan karta hai, Paagalon ki tarah haansne ka jee karta hai, Phir bhi kyun chupke se kahin roone ka dil karta hai.

My creations_6

Dard hai ek anokha daba hua is dil me kahin, Aansun hai kuch anmol in aankhon me chhupe kahin. Bebasi hai kuch in laabon me dabi hui aisi, Tanhai hai sada is jeevan me jaane kaisi. Saathi bhi khub milte hai is jeevan safar me, Hum hi peeche reh jaate hai kahin is dagar me. Jhooth aur fareeb humne kabhi soocha nahi, Isliye shayad kismat kabhi hum pe meharabaan nahi.