Posts

Showing posts from September, 2011

My creation_11

Jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai Hai bas mere pass yeh tanhai yeh rusvai, Saathi to hai mera khud ki hi kaali parchhai. Koi nahi nivhata pal do pal se jyaada ka saath, Chhutt jaata hai anjaane me kitno se mera haath. Akele me kahin yeh dil chupke se rota hai, Phir bhi jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai. Pata nahi hui humse kya aisi bhi khata, Aaj bhi dhhondta hai yeh dil har pal usi ka pata. Mausam k tarah yahan log jaane kyun badal jaate hai, Humein to bas unke yaadon k saang chhod jaate hai. Mumkin nahi uska koi saath yeh mujhko pata hai, Phir bhi jaane kyun kuch to yeh dil cahhta hai.

My creation_10

Jab jab- tab tab Jab raat ka saan-naata chhata hai, Tab aawarapan bhi aacha lagta hai. Jab amawaas ka kaala andhera chhata hai, Tab sagar ki gehhrai me doob jaane ko maan karta hai. Jab tutte kaanch ki tarah khud ko bikhra paata hun, Tab bhari mehfil me bhi khud ko kahin tanha paata hun. Jab na cahhte hue bhi dil ko kisi ki yaad aati hai, Tab is bigdi kismat ke kode panne khul jaate hai. Jab dhhundta hun chand lamhe khusiyon ke, Tab achanak aansu bhar jaate hai in aankhon me. Jab durr kahin khud to akele chhod aata hun, Tab us san-naate me khud ko kahin khoya paata hun....

My creation_9

Kaash wo bachpaan k din ...!!!!! Kaisi hai mere andar yeh anokhi bechaini, Raas nahi aati mujhko ab meri yeh zindagaani. Pal pal har lamha hoti hai ek ajeeb si ghhutan, Phir bhi samajh nahi aati kya hai is dil ki peeran. Jee karta hai sagar ki gehraaion me kahin dubb jaaun, Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun. Waqt bhi ab kaate se katt-te nahi, Haansi bhi jaane kyun khusiyon me nikalti nahi. Rehta hai har ghhadi to ab bas maut ka intezaar, Jeena bhi lagta hai humko har pal dushvaar. Kisi tarah dur in sab se main kahin aur chala jaaun, Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun ....