My creation_9
Kaash wo bachpaan k din...!!!!!
Kaisi hai mere andar yeh anokhi bechaini,
Raas nahi aati mujhko ab meri yeh zindagaani.
Pal pal har lamha hoti hai ek ajeeb si ghhutan,
Phir bhi samajh nahi aati kya hai is dil ki peeran.
Jee karta hai sagar ki gehraaion me kahin dubb jaaun,
Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun.
Waqt bhi ab kaate se katt-te nahi,
Haansi bhi jaane kyun khusiyon me nikalti nahi.
Rehta hai har ghhadi to ab bas maut ka intezaar,
Jeena bhi lagta hai humko har pal dushvaar.
Kisi tarah dur in sab se main kahin aur chala jaaun,
Kaash wo bachpaan k din main phir se kabhi jee paaun....
Comments
Post a Comment